meri hayat hai bas raat ke andhere tak
mujhe hawa se bachae rakho sawere tak
Anwar Shuoor
sabhi zindagi ke maze luTte hain
na aaya hamein ye hunar zindagi bha
Anwar Shuoor
samne aa kar wo kya rahne laga
ghar ka darwaza khula rahne laga
Anwar Shuoor
nizam-e-zar mein kisi aur kaam ka kya ho
bas aadmi hai kamane ka aur khane ka
Anwar Shuoor
muskurae baghair bhi wo honT
nazar aate hain muskurae hue
Anwar Shuoor
muskura kar dekh lete ho mujhe
is tarah kya haq ada ho jaega
Anwar Shuoor
mohabbat rahi chaar din zindagi mein
raha chaar din ka asar zindagi bha
Anwar Shuoor
koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
hum ne is chand pe Dali hai kamand aankhon se
Anwar Shuoor
lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae
Anwar Shuoor

