aankh khul kar abhi manus nahin ho pati
aur diwar se taswir badal jati hai
Anjum Saleemi
kahne sunne ke liye aur bacha hi kya hai
so mere dost ijazat mujhe ruKHsat kiya jae
Anjum Saleemi
jast bharta hua farda ke dahane ki taraf
ja nikalta hun kisi guzre zamane ki taraf
Anjum Saleemi
jab KHuda bhi nahin tha sath mare
mujh pe biti hai aisi tanhai
Anjum Saleemi
jaane toDe the kis ne kis ke liye
phul mere gale paDe hue the
Anjum Saleemi
itna tarsaya gaya mujh ko mohabbat se ki ab
ek mohabbat pe qanaat nahin kar sakta main
Anjum Saleemi
itna be-tab na ho mujh se bichhaDne ke liye
tujh ko aaankhon se nahin dil se juda karna hai
Anjum Saleemi
ishq farma liya to sochta hun
kya musibat paDi hui thi mujhe
Anjum Saleemi
hijr mein bhi hum ek dusre ke
aamne samne paDe hue the
Anjum Saleemi