chakh raha tha main ek badan ka namak
sare bartan khule paDe hue the
Anjum Saleemi
har taraf tu nazar aata hai jidhar jata hun
tere imkan se hijrat nahin kar sakta main
Anjum Saleemi
han zamane ki nahin apni to sun sakta tha
kash KHud ko hi kabhi baiTh ke samjhata main
Anjum Saleemi
ek tabir ki surat nazar aai hai idhar
so uTha laya hun sab KHwab purane wale
Anjum Saleemi
ek din meri KHamushi ne mujhe
lafz ki oT se ishaara kiya
Anjum Saleemi
ek be-nam udasi se bhara baiTha hun
aaj dil khol ke rone ki zarurat hai mujhe
Anjum Saleemi
dosto mere liye koi bhi afsurda na ho
KHush-dili se dam-e-ruKHsat mujhe ruKHsat kiya jae
Anjum Saleemi
dard se bharta raha zat ke KHali-pan ko
thoDa thoDa yunhi bharpur kiya main ne mujhe
Anjum Saleemi
chal to sakta tha main bhi pani par
main ne dariya ka ehtiram kiya
Anjum Saleemi