hijr ko bich mein nahin chhoDa 
sab se pahle use tamam kiya
Anjum Saleemi
ujhne de sab diye mujhe tanhai chahiye 
kuchh der ke liye mujhe tanhai chahiye
Anjum Saleemi
as andhere ne rang badla hai 
din nahin hai safed raat hai ye
Anjum Saleemi
arham hain mujh pe is liye donon taraf ke log 
diwar uTh gai thi to dar kyun banaya hai
Anjum Saleemi
apni tasdiq mujhe teri gawahi se hui 
tu kahan se mere hone ki KHabar laya hai
Anjum Saleemi
aisi kya bit gai mujh pe ki jis ke bais 
aab-dida hain mere hansne hansane wale
Anjum Saleemi
adh-bune KHwabon ka ambar paDa hai dil mein 
aankh walon ke liye hai ye amanat meri
Anjum Saleemi
aati jati hui tanhai ko pahchanta hun 
ghar ke darwaze pe baiTha hun sadhaya hua main
Anjum Saleemi
aage bichhi paDi rahin us ke badan ki nematen 
us ne bahut kaha magar main ne use chakha nahin
Anjum Saleemi

