main ek ek tamanna se puchh baiTha hun 
mujhe yaqin nahin aata ki mera sab hai tu
Anjum Saleemi
main dil-e-girafta tujhe gungunata rahta hun 
bahut dinon se mere yar zer-e-lab hai tu
Anjum Saleemi
main chiKHta raha kuchh aur bhi hai mera ilaj 
magar ye log tumhaara hi nam lete rahe
Anjum Saleemi
main andhere mein hun magar mujh mein 
raushni ne jagah bana li hai
Anjum Saleemi
main aaj KHud se mulaqat karne wala hun 
jahan mein koi bhi mere siwa na rah jae
Anjum Saleemi
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai 
aaj apne sath apna janam din manaya hai
Anjum Saleemi
mazarat raunde hue phulon se kar lun to chalun 
muntazir shahr mein taKHir se aaya hua main
Anjum Saleemi
kuchh to khinchi khinchi si thi saat visal ki 
kuchh yun bhi fasle pe mujhe rakh diya gaya
Anjum Saleemi
kisi tarah se nazar mutmain nahin hoti 
har ek shai ko dobara badal ke dekhta hun
Anjum Saleemi

