ek hasin KHwab ki aankhon se nikalta hi nahin
ek wahshat hai ki tabir hui jati hai
Ambareen Haseeb ambar
hum to sunte the ki mil jate hain bichhDe hue log
tu jo bichhDa hai to kya waqt ne gardish nahin ki
Ambareen Haseeb ambar
faisla bichhaDne ka kar liya hai jab tum ne
phir meri tamanna kya phir meri ijazat kyun
Ambareen Haseeb ambar
duniya to hum se hath milane ko aai thi
hum ne hi eatibar dobara nahin kiya
Ambareen Haseeb ambar
dil jin ko DhunDhta hai na-jaane kahan gae
KHwab-o-KHayal se wo zamane kahan gae
Ambareen Haseeb ambar
hul jote hain musafir rasta
log kahte hain kahani phir bhi
Ambareen Haseeb ambar
ayan donon se takmil-e-jahan hai
zamin gum ho to phir kya aasman hai
Ambareen Haseeb ambar
ai aasman kis liye is darja barhami
hum ne to teri samt ishaara nahin kiya
Ambareen Haseeb ambar