اردو हिंदी
Ho gai baat purani phir bhi | Shaahi Shayari
ho gai baat purani phir bhi

Ghazal

Ho gai baat purani phir bhi

Ambareen Haseeb ambar

;

ho gai baat purani phir bhi
yaad hai mujh ko zabani phir bhi

mauja-e-gham ne to dam toD diya
rah gaya aankh mein pani phir bhi

main ne socha bhi nahin tha is ko
ho gai sham suhani phir bhi

chashm-e-nam ne use jate dekha
dil ne ye baat na mani phir bhi

log arzan hue jate hain yahan
baDhti jati hai girani phir bhi

burida lae ho darbar mein tum
yaad hai shoala-bayani phir bhi

bhul jote hain musafir rasta
log kahte hain kahani phir bhi