aam ke peDon ke sare phal sunahre ho gae
is baras bhi rasta kyun ro raha tha dekhte
Ambar Bahraichi
har phul pe us shaKHs ko patthar the chalane
ashkon se har ek barg ko bharna tha hamein bhi
Ambar Bahraichi
har ek nadi se kaDi pyas le ke wo guzra
ye aur baat ki wo KHud bhi ek dariya tha
Ambar Bahraichi
hum pi bhi gae aur salamat bhi hain 'amabar'
pani ki har ek bund mein hire ki kani thi
Ambar Bahraichi
gae the hum bhi bahr ki tahon mein jhumte hue
har ek sip ke labon mein sirf regzar tha
Ambar Bahraichi
ek sannaTa bichha hai is jahan mein har taraf
aasman-dar-asman-dar-asman kyun rat-jage hain
Ambar Bahraichi
ek sahir kabhi guzra tha idhar se 'amabar'
ja-e-hairat ki sabhi us ke asar mein hain abhi
Ambar Bahraichi
chehron pe zar-posh andhere phaile hain
ab jine ke Dhang baDe hi mahnge hain
Ambar Bahraichi
ahar sare maidan jit chuka tha wo
ghar lauTa to pal bhar mein hi TuTa tha
Ambar Bahraichi