اردو हिंदी
Darwaza wa kar ke roz nikalta tha | Shaahi Shayari
darwaza wa kar ke roz nikalta tha

Ghazal

Darwaza wa kar ke roz nikalta tha

Ambar Bahraichi

;

darwaza wa kar ke roz nikalta tha
sirf wahi apne ghar ka sarmaya tha

khaDe hue the peD jaDon se kaT kar bhi
tez hawa ka jhonka aane wala tha

usi nadi mein us ke bachche Dub gae
usi nadi ka pani us ka pina tha

sabz qabaen roz luTata tha lekin
KHud us ke tan par bosida kapDa tha

bahar sare maidan jit chuka tha wo
ghar lauTa to pal bhar mein hi TuTa tha

but ki qimat aank raha tha waise wo
mandir mein to puja karne aaya tha

chiKH paDin sari diwaren 'amabar'-ji
main sab se chhup kar kamre mein baiTha tha