اردو हिंदी
Burida bazuon mein wo parind lala-bar tha | Shaahi Shayari
burida bazuon mein wo parind lala-bar tha

Ghazal

Burida bazuon mein wo parind lala-bar tha

Ambar Bahraichi

;

burida bazuon mein wo parind lala-bar tha
shikariyon ke ghol mein ajib intishaar tha

hare phalon ko toDti hui hawa guzar gai
bujhi bujhi faza mein har daraKHt sogwar tha

safar ka aaKHiri paDaw aa gaya tha aur main
jo ham-safar bichhaD rahe the un pe ashk-bar tha

gae the hum bhi bahr ki tahon mein jhumte hue
har ek sip ke labon mein sirf regzar tha

dhuli dhuli faza mein ho gai abas wo justuju
ki manzar-e-nazar-nawaz to pas-e-ghubar tha

dam-e-sahar na jaane jaane kaun aa gaya use
rawan the ashk ankhDiyon se hath mein sitar tha

jo waqt aa gaya tamam tir TuTte gae
usi nai kaman pe to mujhe bhi e'tibar tha

baras rahi thi aag is dayar-e-sang mein magar
mere lahu mein gul-fishan wo champai azar tha

ajib thi sarisht bhi hamare dhan pan ki
kabhi to bahr-e-be-karan kabhi sarab-zar tha