hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se lakh sahi tu magar kahan
Altaf Hussain Hali
hum ne awwal se paDhi hai ye kitab aaKHir tak
hum se puchhe koi hoti hai mohabbat kaisi
Altaf Hussain Hali
hum roz-e-widaa un se hans hans ke hue ruKHsat
rona tha bahut hum ko rote bhi to kya hota
Altaf Hussain Hali
har samt gard-e-naqa-e-laila buland hai
pahunche jo hausla ho kisi shahsawar ka
Altaf Hussain Hali
hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zaban mein asar kahan
Altaf Hussain Hali
ek dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko
taKHfif dawa se ho na taskin dua se
Altaf Hussain Hali
ishq sunte the jise hum wo yahi hai shayad
KHud-baKHud dil mein hai ek shaKHs samaya jata
Altaf Hussain Hali