is mein koi mera sharik nahin
mera dukh aah sirf mera hai
Akhtar Ansari
ilaj-e-'aKHtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin
agar wo ji nahin sakta to mar to sakta hai
Akhtar Ansari
han kabhi KHwab-e-ishq dekha tha
ab tak aankhon se KHun Tapakta hai
Akhtar Ansari
dusron ka dard 'aKHtar' mere dil ka dard hai
mubtala-e-gham hai duniya aur main gham-KHwar hun
Akhtar Ansari
dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai
wo aag bujh gai lekin gudaz baqi hai
Akhtar Ansari
apni ujDi hui duniya ki kahani hun main
ek bigDi hui taswir-e-jawani hun main
Akhtar Ansari
ai soz-e-jaan-gudaz abhi main jawan hun
ai dard-e-la-ilaj ye umr-e-shabab hai
Akhtar Ansari