اردو हिंदी
Qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai | Shaahi Shayari
qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai

Ghazal

Qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai

Akhtar Ansari

;

qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai
mere jigar mein ek aatish-kada dahakta hai

guzishta kahish o andoh ke KHayal Thahar
mere dimagh mein shola sa ek bhaDakta hai

kisi ke aish-e-tamanna ki dastan na kaho
kaleja meri tamannaon ka dhaDakta hai

ilaj-e-'aKHtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin
agar wo ji nahin sakta to mar to sakta hai