اردو हिंदी
Dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai | Shaahi Shayari
dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai

Ghazal

Dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai

Akhtar Ansari

;

dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai
wo aag bujh gai lekin gudaz baqi hai

niyaz-kesh bhi meri tarah na ho koi
umid mar chuki zauq-e-niyaz baqi hai

wo ibtida-e-mohabbat ki lazzaten wallah
ki ab bhi ruh mein ek ehtizaz baqi hai

na saz-e-dil hai ab 'aKHtar' na husn ki mizrab
magar wo fitrat-e-naghma-nawaz baqi hai