اردو हिंदी
Apni ujDi hui duniya ki kahani hun main | Shaahi Shayari
apni ujDi hui duniya ki kahani hun main

Ghazal

Apni ujDi hui duniya ki kahani hun main

Akhtar Ansari

;

apni ujDi hui duniya ki kahani hun main
ek bigDi hui taswir-e-jawani hun main

aag ban kar jo kabhi dil mein nihan rahta tha
aaj duniya mein usi gham ki nishani hun main

hae kya qahr hai marhum jawani ki yaad
dil se kahti hai ki KHanjar ki rawani hun main

aalam-afroz tapish tere liye laya hun
ai gham-e-ishq tera ahd-e-jawani hun main

charKH hai naghmagar ayyam hain naghme 'aKHtar'
dastan-go hai gham-e-dahr kahani hun main