hammam ke aaine mein shab Dub rahi thi
cigarette se nae din ka dhuan phail raha tha
Adil Mansuri
aaise Dare hue hain zamane ki chaal se
ghar mein bhi panw rakhte hain hum to sambhaal ka
Adil Mansuri
girte rahe nujum andhere ki zulf se
shab bhar rahin KHamoshiyan sayon se ham-kana
Adil Mansuri
darwaza khaTkhaTa ke sitare chale gae
KHwabon ki shaal oDh ke main unghta raha
Adil Mansuri
darwaza band dekh ke mere makan ka
jhonka hawa ka khiDki ke parde hila gaya
Adil Mansuri
dariya ki wusaton se use napte nahin
tanhai kitni gahri hai ek jam bhar ke dekh
Adil Mansuri
dariya ke kinare pe meri lash paDi thi
aur pani ki tah mein wo mujhe DhunD raha tha
Adil Mansuri
chup-chap baiThe rahte hain kuchh bolte nahin
bachche bigaD gae hain bahut dekh-bhaal se
Adil Mansuri
ismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha
main hath mein talwar liye jhum raha tha
Adil Mansuri