ujhi hui hain nigahen ghubar hai ki dhuan
wo rasta hai ki apna bhi naqsh-e-pa na mile
Ada Jafri
aa dekh ki mere aansuon mein
ye kis ka jamal aa gaya hai
Ada Jafri
ek aaina ru-ba-ru hai abhi
us ki KHushbu se guftugu hai abhi
Ada Jafri
gul par kya kuchh bit gai hai
albela jhonka kya jaane
Ada Jafri
hath kanTon se kar liye zaKHmi
phul baalon mein ek sajaane ko
Ada Jafri
hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
Ada Jafri
hazar kos nigahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to hum ko pahchane
Ada Jafri
honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae
aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae
Ada Jafri
hua yun ki phir mujhe zindagi ne basar kiya
koi din the jab mujhe har nazara hasin mila
Ada Jafri