اردو हिंदी
Achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana | Shaahi Shayari
achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana

Ghazal

Achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana

Ada Jafri

;

achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana
dua aasan nahin rahna suKHan dushwar ho jaana

tumhein dekhen nigahen aur tum ko hi nahin dekhen
mohabbat ke sabhi rishton ka yun nadar ho jaana

abhi to be-niyazi mein taKHatub ki si KHushbu thi
hamein achchha laga tha dard ka dildar ho jaana

agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo
hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana

abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hain kunj-e-mizhgan mein
agar tum is taraf aao saba-raftar ho jaana

hawa to ham-safar Thahri samajh mein kis tarah aae
hawaon ka hamari rah mein diwar ho jaana

abhi to silsila apna zamin se aasman tak tha
abhi dekha tha raaton ka sahar-asar ho jaana

hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana