saKHt pistan tere chubhe dil mein
apne hathon se main KHarab hua
Wali Uzlat
jo hum ye tiflon ke sang-e-jafa ke mare hain
buton ka shikwa nahin hum KHuda ke mare hain
Wali Uzlat
kaha jo main ne gaya KHat se hae tera husn
to hans ke mujh ko kaha pashm se gaya to gaya
Wali Uzlat
kuchh ghaur ka jauhar nahin KHud-fahmi mein hairan hain
is asr ke fazil sab sathi hain jun aaina
Wali Uzlat
main sahra ja ke qabr-e-hazrat-e-majnun ko dekha tha
ziyarat karte the aahu bagula tauf karta tha
Wali Uzlat
mohkme mein ishq ke hai yaro diwane ka shor
mere dil dene ka ghul us ke mukar jaane ka sho
Wali Uzlat
pir ho shaiKH hua hai dekho tiflon ka murid
murda bola hai kafan phaD qayamat aai
Wali Uzlat
us ko pahunchi KHabar ki jita hun
kisi dushman seti suna hoga
Wali Uzlat
teri zulf ki shab ka bedar main hun
tujh aankhon ke saghar ka mai-KHwar main hun
Wali Uzlat

