mohkme mein ishq ke hai yaro diwane ka shor
mere dil dene ka ghul us ke mukar jaane ka sho
Wali Uzlat
main sahra ja ke qabr-e-hazrat-e-majnun ko dekha tha
ziyarat karte the aahu bagula tauf karta tha
Wali Uzlat
kuchh ghaur ka jauhar nahin KHud-fahmi mein hairan hain
is asr ke fazil sab sathi hain jun aaina
Wali Uzlat
kaha jo main ne gaya KHat se hae tera husn
to hans ke mujh ko kaha pashm se gaya to gaya
Wali Uzlat
jo hum ye tiflon ke sang-e-jafa ke mare hain
buton ka shikwa nahin hum KHuda ke mare hain
Wali Uzlat
ai salik intizar-e-haj mein kya tu hakka-bakka hai
bagule sa to kar le tauf dil pahlu mein makka hai
Wali Uzlat
jis par nazar paDe use KHud se nikalna
raushan-dilon ka kaam hai manind-e-aina
Wali Uzlat
jape hai wird sa tujh se sanam ke nam ko shaiKH
namaz toD uThe tere ram ram ko shaiKH
Wali Uzlat
jald mar gae teri hasrat seti hum
ki tera der ka aana na gaya
Wali Uzlat

