abhi baqi hai bichhaDna us se
na-mukammal ye kahani hai abhi
Tariq Qamar
ajab gharibi ke aalam mein mar gaya ek shaKHs
ki sar pe taj tha daman mein ek dua bhi na thi
Tariq Qamar
ek muddat se ye manzar nahin badla 'tariq'
waqt us par hai Thahra hua is par hain hum
Tariq Qamar
har aadmi wahan masruf qahqahon mein tha
ye aansuon ki kahani kise sunate hum
Tariq Qamar
is lahje se baat nahin ban paegi
talwaron se kaise kanTe niklenge
Tariq Qamar
is saliqe se mujhe qatl kiya hai us ne
ab bhi duniya ye samajhti hai ki zinda hun main
Tariq Qamar
jaise mumkin ho in ashkon ko bachao 'tariq'
sham aai to charaghon ki zarurat hogi
Tariq Qamar
kaise rishton ko sameTen ye bikharte hue log
TuT jate hain yahi faisla karte hue log
Tariq Qamar
kisi jawaz ka hona hi kya zaruri hai
agar wo chhoDna chahe to chhoD jae mujhe
Tariq Qamar