aaj bhi 'sipra' us ki KHushbu mill malik le jata hai
main lohe ki naf se paida jo kasturi karta hun
Tanveer Sipra
aaj itna jalao ki pighal jae mera jism
shayad isi surat hi sukun pae mera jism
Tanveer Sipra
ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat
ab tak mere kanon mein mashinon ki sada hai
Tanveer Sipra
ai raat mujhe man ki tarah god mein le le
din bhar ki mashaqqat se badan TuT raha hai
Tanveer Sipra
aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna
us shaKHs ko damad bhi waisa hi mila hai
Tanveer Sipra
dihat ke wajud ko qasba nigal gaya
qasbe ka jism shahr ki buniyaad kha gai
Tanveer Sipra
hum hizb-e-iKHtilaf mein bhi mohtaram hue
wo eqtidar mein hain magar be-wiqar hain
Tanveer Sipra
jo kar raha hai dusron ke zehn ka ilaj
wo shaKHs KHud bahut baDa zehni mariz hai
Tanveer Sipra
kabhi apne wasael se na baDh kar KHwahishen palo
wo pauda TuT jata hai jo la-mahdud phalta hai
Tanveer Sipra