kitna buad hai mere fan aur peshe ke mabain
bahar danish-war hun lekin mill mein oil-man
Tanveer Sipra
main apne bachpane mein chhu na paya jin khilaunon ko
unhi ke waste ab mera beTa bhi machalta hai
Tanveer Sipra
mill malik ke kutte bhi charbile hain
lekin mazduron ke chehre pile hain
Tanveer Sipra
sab ki nigah mein tere godam aa gae
ab apne hathon mal ki taqsim kar na ka
Tanveer Sipra
shayad yunhi simaT saken ghar ki zaruraten
'tanwir' man ke hath mein apni kamai de
Tanveer Sipra
'tanwir' ab tu halq se bhonpu ka kaam le
bahre hue hain kan mashinon ke shor se
Tanveer Sipra
teri to aan baDh gai mujh ko nawaz kar
lekin mera waqar ye imdad kha gai
Tanveer Sipra