اردو हिंदी
BeTe ko saza de ke ajab haal hua hai | Shaahi Shayari
beTe ko saza de ke ajab haal hua hai

Ghazal

BeTe ko saza de ke ajab haal hua hai

Tanveer Sipra

;

beTe ko saza de ke ajab haal hua hai
dil pahron mera karb ke dozaKH mein jala hai

aurat ko samajhta tha jo mardon ka khilauna
us shaKHs ko damad bhi waisa hi mila hai

har ahl-e-hawas jeb mein bhar laya hai patthar
ham-sae ki bairi pe abhi bor paDa hai

ab tak mere aasab pe mehnat hai musallat
ab tak mere kanon mein mashinon ki sada hai

ai raat mujhe man ki tarah god mein le le
din bhar ki mashaqqat se badan TuT raha hai

shayad main ghalat daur mein utra hun zamin par
har shaKHs tahayyur se mujhe dekh raha hai