aansuon se koi aawaz ko nisbat na sahi
bhigti jae to kuchh aur nikharti jae
Taban Ghulam Rabbani
aDe baDon ke qadam Dagmaga gae 'taban'
rah-e-hayat mein aise maqam bhi aae
Taban Ghulam Rabbani
astiyon mein hone ko hadse bhi hote hain
pattharon ki zad par kuchh aaine bhi hote hain
Taban Ghulam Rabbani
chhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae
piyo sharab ki chehre pe nur aa jae
Taban Ghulam Rabbani
gham-e-zindagi ek musalsal azab
gham-e-zindagi se mafar bhi nahin
Taban Ghulam Rabbani
ghubar-e-rah chala sath ye bhi kya kam hai
safar mein aur koi ham-safar mile na mile
Taban Ghulam Rabbani
hamari tarah KHarab-e-safar na ho koi
ilahi yun to kisi ka na rahbar gum ho
Taban Ghulam Rabbani
janab-e-shaiKH samajhte hain KHub rindon ko
janab-e-shaiKH ko hum bhi magar samajhte hain
Taban Ghulam Rabbani
junun mein aur KHirad mein dar-haqiqat farq itna hai
wo zer-e-dar hai saqi aur ye zer-e-dam hai saqi
Taban Ghulam Rabbani