aa shitabi sin wagarna majlis-e-ushshaq mein
zulm hai gham hai qayamat hai KHarabi ai sanam
Siraj Aurangabadi
aai hai tere ishq ki bazi dil-o-jaan par
is waqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyan pa
Siraj Aurangabadi
aankh uThate hi mere hath sin mujh kun le gae
KHub ustad ho tum jaan ke le jaane mein
Siraj Aurangabadi
abas in shahriyon mein waqt apna hum kiye zae
kisi majnun ki sohbat baiTh diwane hue hote
Siraj Aurangabadi
ai aql nikal ja ki dhuan aah ka nahin hai
ye ishq ke lashkar ki sipahi nazar aai
Siraj Aurangabadi
ai nasim-e-sahari bu-e-mohabbat le aa
turra-e-yar sati itr ki mahkar kun khol
Siraj Aurangabadi
ai nur-e-nazar muntazir-e-wasl hun aa ja
do paT palak ke nahin darwaza hua mahz
Siraj Aurangabadi
ai shoKH gulistan main nahin ye gul-e-rangin
aaya dil-e-sad-chaak mera rang badal ka
Siraj Aurangabadi
agula jin ke sar par chatr-e-shahi hai zamin masnad
wahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajate hain
Siraj Aurangabadi