teri abru hai mehrab-e-mohabbat
namaz-e-ishq mere par hui farz
Siraj Aurangabadi
tere suKHan mein ai naseh nahin hai kaifiyyat
zaban-e-qulqul-e-mina sin sun kalam-e-shara
Siraj Aurangabadi
tere salam ke dhaj dekh kar mere dil ne
shitab aaqa mujhe ruKHsati salam kiya
Siraj Aurangabadi
qatil ne ada ka kiya jab war uchhal kar
main ne sipar-e-dil kun kiya oT sambhal ka
Siraj Aurangabadi
sanam kis band sin pahunchun tere pas
hazaron band hain teri qaba ke
Siraj Aurangabadi
oza-daran-e-judai kun KHam-e-abru-e-yar
mah-e-id-e-ramazan tha mujhe malum na tha
Siraj Aurangabadi
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
Siraj Aurangabadi
pech kha kha kar hamari aah mein girhen paDin
hai yahi sumran teri darkar koi mala nahin
Siraj Aurangabadi
pakDa hun kinara-e-judai
jari mere ashk ki nadi hai
Siraj Aurangabadi