sanam kis band sin pahunchun tere pas
hazaron band hain teri qaba ke
Siraj Aurangabadi
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahnagi
na KHirad ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
Siraj Aurangabadi
shor hai bas-ki tujh malahat ka
dil hamara hua hai kan-e-namak
Siraj Aurangabadi
'siraj' in KHub-ruyon ka ajab main qaeda dekha
bulate hain dikhate hain lubhate hain chhupate hain
Siraj Aurangabadi
suna hai jab sin tere husn ka shor
liya zahid ne masjid ka kinara
Siraj Aurangabadi
taza rakh aab-e-mehrbani sin
ek dil sau chaman barabar hai
Siraj Aurangabadi
tahqiq ki nazar sin aaKHir kun hum ne dekha
akasr hain mal wale kam hain kamal wale
Siraj Aurangabadi
takiya-e-maKHmali sirhane rakh
lekin aankhon sin apni KHwab nikal
Siraj Aurangabadi
tere salam ke dhaj dekh kar mere dil ne
shitab aaqa mujhe ruKHsati salam kiya
Siraj Aurangabadi