aashufta-KHatiri wo bala hai ki 'shefta'
taat mein kuchh maza hai na lazzat gunah mein
Shefta Mustafa Khan
ai tab-e-barq thoDi si taklif aur bhi
kuchh rah gae hain KHar-o-KHas-e-ashiyan hanuz
Shefta Mustafa Khan
e-uzr wo kar lete hain wada ye samajh kar
ye ahl-e-murawwat hain taqaza na karenge
Shefta Mustafa Khan
dil-e-bad-KHu ki kisi tarah raunat kam ho
chahta hun wo sanam jis mein mohabbat kam ho
Shefta Mustafa Khan
fasane apni mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDha bhi dete hain hum zeb-e-dastan ke liye
Shefta Mustafa Khan
fasane yun to mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDha bhi dete hain hum zeb-e-dastan ke liye
Shefta Mustafa Khan
hum talib-e-shohrat hain hamein nang se kya kaam
badnam agar honge to kya nam na hoga
Shefta Mustafa Khan
hazar dam se nikla hun ek jumbish mein
jise ghurur ho aae kare shikar mujhe
Shefta Mustafa Khan
itni na baDha paki-e-daman ki hikayat
daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh
Shefta Mustafa Khan