aankhen kahin dimagh kahin dast o pa kahin
raston ki bhiD-bhaD mein duniya bikhar gai
Sheen Kaaf Nizam
aarzu thi ek din tujh se milun
mil gaya to sochta hun kya karun
Sheen Kaaf Nizam
apne afsane ki shohrat use manzur na thi
us ne kirdar badal kar mera qissa likhkha
Sheen Kaaf Nizam
apni pahchan bhiD mein kho kar
KHud ko kamron mein DhunDte hain log
Sheen Kaaf Nizam
adalti rut ka nauha sun raha hai
nadi soi hai jangal jagta hai
Sheen Kaaf Nizam
arson se ghumta hai isi tarah raat din
lekin zamin milti nahin aasman ko
Sheen Kaaf Nizam
ich ka baDhta hua har fasla le jaega
ek tufan aaega sab kuchh baha le jaega
Sheen Kaaf Nizam
chubhan ye piTh mein kaisi hai muD ke dekh to le
kahin koi tujhe pichhe se dekhta hoga
Sheen Kaaf Nizam
darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
be-KHauf koi rasta chalne ke liye de
Sheen Kaaf Nizam