hum 'kabir' is kal ke khaDe hain KHali hath
sang kisi ke hum nahin aur hum sab ke sath
Sheen Kaaf Nizam
gali ke moD se ghar tak andhera kyun hai 'nizam'
charagh yaad ka us ne bujha diya hoga
Sheen Kaaf Nizam
ek aaseb hai har ek ghar mein
ek hi chehra dar-ba-dar chamke
Sheen Kaaf Nizam
dosti ishq aur wafadari
saKHt jaan mein bhi narm goshe hain
Sheen Kaaf Nizam
dhul uDti hai dhup baiThi hai
os ne aansuon ka ghar chhoDa
Sheen Kaaf Nizam
darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
be-KHauf koi rasta chalne ke liye de
Sheen Kaaf Nizam
chubhan ye piTh mein kaisi hai muD ke dekh to le
kahin koi tujhe pichhe se dekhta hoga
Sheen Kaaf Nizam
ich ka baDhta hua har fasla le jaega
ek tufan aaega sab kuchh baha le jaega
Sheen Kaaf Nizam
arson se ghumta hai isi tarah raat din
lekin zamin milti nahin aasman ko
Sheen Kaaf Nizam