shaiKH kuchh apne-ap ko samjhen
mai-kashon ki nazar mein kuchh bhi nahin
Sharaf Mujaddidi
jis ko chaha tu ne us ko mil gaya
warna tujh ko pane wala kaun tha
Sharaf Mujaddidi
kam-sini jin ki hamein yaad hai aur kal ki hi baat
aaj unhen dekhiye kya ho gae kya se baDh ka
Sharaf Mujaddidi
pamaliyon ka zina hai arsh se bhi uncha
dil us ki rah mein hai kya sarfaraaz mera
Sharaf Mujaddidi
parsa ban ke su-e-mai-KHana
sar jhukae hue hum jate hain
Sharaf Mujaddidi
qadmon pe gira to haT ke bole
andha hai to dekhta nahin hai
Sharaf Mujaddidi
tasawwur ne tere aabaad jab se ghar kiya mera
nikalta hi nahin din raat apne ghar mein rahta hai
Sharaf Mujaddidi
ushshaq ke aage na laDa ghairon se aankhen
Dar hai ki na ho jae laDai tere dar pa
Sharaf Mujaddidi
teri aankhen jise chahen use apna kar len
kash aisa hi sikha den koi afsun mujh ko
Sharaf Mujaddidi

