is parde mein ye husn ka aalam hai ilahi
be-parda wo ho jaen to kya jaaniye kya ho
Sharaf Mujaddidi
aalam-e-ishq mein allah-re nazar ki wusat
nuqta-e-wahm hua gumbad-e-gardun mujh ko
Sharaf Mujaddidi
hazrat-e-naseh bhi mai pine lage
ab mujhe samjhane wala kaun tha
Sharaf Mujaddidi
hairat mein hun ilahi kyun-kar ye KHatm hoga
kotah roz-e-mahshar qissa daraaz mera
Sharaf Mujaddidi
ek ko ek nahin rashk se marne deta
ye naya kucha-e-qatil mein tamasha dekha
Sharaf Mujaddidi
duKHt-e-raz zahid se boli mujh se ghabraate ho kyun
kya tumhin ho pak-daman parsa main bhi to hun
Sharaf Mujaddidi
duKHt-e-raz aur tu kahan milti
khinch lae sharab-KHane se
Sharaf Mujaddidi
dil mein mere jigar mein mere aankh mein meri
har ja hai dost aur nahin milti hai ja-e-dost
Sharaf Mujaddidi
allah allah KHususiyyat-e-zat-e-hasnain
sari ummat ke hain poton se nawase baDh ka
Sharaf Mujaddidi