aangan hai jal-thal bahut diwaron par ghas
ghar ke andar bhi mila 'shahid' ko banwas
Shahid Meer
aur kuchh bhi mujhe darkar nahin hai lekin
meri chadar mere pairon ke barabar kar de
Shahid Meer
ujhti hui si ek shabih zehn mein liye
miTti hui sitaron ki saf dekhte rahe
Shahid Meer
dard hai daulat ki tarah gham Thahra jagir
apni is jagir mein KHush hain 'shahid-mir'
Shahid Meer
ganwae baiThe hain aankhon ki raushni 'shahid'
jahan-panah ka insaf dekhne wale
Shahid Meer
har ek shai be-mel thi kaise banti baat
aankhon se sapne baDe nind se lambi raat
Shahid Meer
jiwan jina kaThin hai wish pina aasan
insan ban kar dekh lo o 'shankar' bhagwan
Shahid Meer
kaghaz par likh dijiye apne sare bhed
dil mein rahe to aanch se ho jaenge chhed
Shahid Meer
pahle to chhin li meri aankhon ki raushni
phir aaine ke samne laya gaya mujhe
Shahid Meer