ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya
zindagi chhoD de pichha mera main baz aaya
Shad Azimabadi
ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula
hum mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain hum
Shad Azimabadi
hare hon aankh mein aansu KHamida gardan ho
to KHamushi ko bhi izhaar-e-muddaa kahiye
Shad Azimabadi
chaman mein ja ke hum ne ghaur se auraq-e-gul dekhe
tumhaare husn ki sharhen likhi hain in risalon mein
Shad Azimabadi
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum
Shad Azimabadi
dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm
main KHud aaya nahin laya gaya hun
Shad Azimabadi
hazar shukr main tere siwa kisi ka nahin
hazar haif ki ab tak hua na tu mera
Shad Azimabadi
hun is kuche ke har zarre se aagah
idhar se muddaton aaya gaya hun
Shad Azimabadi
izhaar-e-muddaa ka irada tha aaj kuchh
tewar tumhaare dekh ke KHamosh ho gaya
thoughI had intended my feelings to convey
seeing your disposition, I did not dare to say
Shad Azimabadi