nazar ki barchhiyan jo sah sake sina usi ka hai
hamara aap ka jina nahin jina usi ka hai
Shad Azimabadi
milega ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil
halal karne mujhe id ka hilal aaya
Shad Azimabadi
main hairat o hasrat ka mara KHamosh khaDa hun sahil par
dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain hum
Shad Azimabadi
lahad mein kyun na jaun munh chhupae
bhari mahfil se uThwaya gaya hun
why should I not be interred with a covered face
I have been cast from her presence in such disgrace
Shad Azimabadi
kuchh aisa kar ki KHuld aabaad tak ai 'shad' ja pahunchen
abhi tak rah mein wo kar rahe hain intizar apna
Shad Azimabadi
KHamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zara taskin hoti hai
silence only intensifies one's grief
cry out heart and you will find relief
Shad Azimabadi
ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya
zindagi chhoD de pichha mera main baz aaya
Shad Azimabadi
kahte hain ahl-e-hosh jab afsana aap ka
hansta hai dekh dekh ke diwana aap ka
Shad Azimabadi
kahan se laun sabr-e-hazrat-e-ayyub ai saqi
KHum aaega surahi aaegi tab jam aaega
Shad Azimabadi

