aage mere na tikhi mar ai shaiKH 
raat ka majra suna dunga
Sardar Genda Singh Mashriqi
aashiq-mizaj rahte hain har waqt tak mein 
sina ko is tarah se ubhaara na kijiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
ai shaiKH apna jubba-e-aqdas sambhaaliye 
mast aa rahe hain chaak gareban kiye hue
Sardar Genda Singh Mashriqi
ai shaiKH ye jo manen kaba KHuda ka ghar hai 
but-KHana mein bata tu phir kaun jalwa-gar hai
Sardar Genda Singh Mashriqi
hul kar le gaya su-e-manzil 
aise rahzan ko rahnuma kahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
chahne walon ko chaha chahiye 
jo na chahe phir use kya chahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
Daraegi hamein kya hijr ki andheri raat 
ki shama baiThe hain pahle hi hum bujhae hue
Sardar Genda Singh Mashriqi
dhar ke hath apna jigar par main wahin baiTh gaya 
jab uThe hath wo kal rakh ke kamar par apna
Sardar Genda Singh Mashriqi
ek muddat mein baDhaya tu ne rabt 
ab ghaTana thoDa thoDa chahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi

