maza dekha kisi ko ai pari-ru munh lagane ka
ab aaina bhi kahta hai ki main madd-e-muqabil hun
Sardar Genda Singh Mashriqi
laTakte dekha sine par jo tere tar-e-gesu ko
use diwane wahshat mein tera band-e-qaba samjhe
Sardar Genda Singh Mashriqi
kis se dun tashbih main zulf-e-musalsal ko teri
fikr hai kotah aur mazmun bahut hai dur ka
Sardar Genda Singh Mashriqi
khola darwaza samajh kar mujh ko ghair
kha gae dhoka meri aawaz se
Sardar Genda Singh Mashriqi
KHayal-e-naf mein zulfon ne mushkin bandh din meri
shanawar kis tarah girdab se be-dast-o-pa nikle
Sardar Genda Singh Mashriqi
kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein
aankhen safed ho gain is intizar mein
Sardar Genda Singh Mashriqi
aage mere na tikhi mar ai shaiKH
raat ka majra suna dunga
Sardar Genda Singh Mashriqi
jo munh se kahte hain kuchh aur karte hain kuchh aur
wahi zamana mein kuchh iKHtiyar rakhte hain
Sardar Genda Singh Mashriqi
jab bosa le ke muddaa main ne bayan kiya
bole ziyaada panw pasara na kijiye
Sardar Genda Singh Mashriqi

