hain wahi insan uThate ranj jo hote hi kaj
TeDhi ho kar Dubti hai naw akasr aab mein
Sardar Genda Singh Mashriqi
go hum sharab pite hamesha hain de ke naqd
lekin maza kuchh aur hi paya udhaar mein
Sardar Genda Singh Mashriqi
gareban hum ne dikhlaya unhon ne zulf dikhlai
hamara samjhe wo matlab hum un ka muddaa samjhe
Sardar Genda Singh Mashriqi
ek muddat mein baDhaya tu ne rabt
ab ghaTana thoDa thoDa chahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
dhar ke hath apna jigar par main wahin baiTh gaya
jab uThe hath wo kal rakh ke kamar par apna
Sardar Genda Singh Mashriqi
Daraegi hamein kya hijr ki andheri raat
ki shama baiThe hain pahle hi hum bujhae hue
Sardar Genda Singh Mashriqi
chahne walon ko chaha chahiye
jo na chahe phir use kya chahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
hul kar le gaya su-e-manzil
aise rahzan ko rahnuma kahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi
ai shaiKH ye jo manen kaba KHuda ka ghar hai
but-KHana mein bata tu phir kaun jalwa-gar hai
Sardar Genda Singh Mashriqi