aah karta hun to aate hain pasine un ko
nala karta hun to raaton ko wo Dar jate hain
Saail Dehlvi
guman kis par karen sufi idhar hai us taraf waiz
KHuda rakkhe mohalle mein sabhi allah wale hain
Saail Dehlvi
hain e'tibar se kitne gire hue dekha
isi zamane mein qisse isi zamane ke
Saail Dehlvi
hamesha KHun-e-dil roya hun main lekin saliqe se
na qatra aastin par hai na dhabba jaib o daman pa
Saail Dehlvi
janab-e-shaiKH mai-KHane mein baiThe hain barahna-sar
ab un se kaun puchhe aap ne pagDi kahan rakh di
Saail Dehlvi
jhaDi aisi laga di hai mere ashkon ki barish ne
daba rakkha hai bhadon ko bhula rakkha hai sawan ko
Saail Dehlvi
KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole
ye hai kaun diwana KHat likhne wala
Saail Dehlvi
khil gai shama teri sari karamat-e-jamal
dekh parwane kidhar khol ke par jate hain
Saail Dehlvi
malum nahin kis se kahani meri sun li
bhata hi nahin ab unhen afsana kisi ka
Saail Dehlvi