mar chuka main to nahin is se mujhe kuchh hasil
barse gir pani ki ja aab-e-baqa mere baad
Parveen Umm-e-Mushtaq
na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha
kisi ke bas mein tha majbur tha lachaar tha kya tha
Parveen Umm-e-Mushtaq
mujhe jab mar hi Dala to ab donon barabar hain
uDao KHak sarsar ban ke ya baad-e-saba ban ka
Parveen Umm-e-Mushtaq
muddat se ishtiyaq hai bos-o-kanar ka
gar hukm ho shurua kare apna kaam hirs
Parveen Umm-e-Mushtaq
meri qismat likhi jati thi jis din main agar hota
uDa hi leta dast-e-katib-e-taqdir se kaghaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
kyun ujaDa zahido but-KHana-e-abaad ko
masjiden kafi na hotin kya KHuda ki yaad ko
Parveen Umm-e-Mushtaq
kisi ke sang-e-dar se ek muddat sar nahin uTTha
mohabbat mein ada ki hain namazen be-wuzu barson
Parveen Umm-e-Mushtaq
kuchh to kami ho roz-e-jaza ke azab mein
ab se piya karenge mila kar gulab mein
Parveen Umm-e-Mushtaq
nikle hain ghar se dekhne ko log mah-e-id
aur dekhte hain abru-e-KHamdar ki taraf
Parveen Umm-e-Mushtaq

