dekhne wale ye kahte hain kitab-e-dahr mein
tu sarapa husn ka naqsha hai main taswir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
dilwaiye bosa dhyan bhi hai
is qarza-e-wajib-ul-ada ka
Parveen Umm-e-Mushtaq
aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa
us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui
Parveen Umm-e-Mushtaq
farq kya maqtal mein aur gulzar mein
Dhaal mein hain phul phal talwar mein
Parveen Umm-e-Mushtaq
gar aap pahle rishta-e-ulfat na toDte
mar miT ke hum bhi KHair nibhate kisi tarah
Parveen Umm-e-Mushtaq
hawa mein jab uDa parda to ek bijli si kaundi thi
KHuda jaane tumhaara partaw-e-ruKHsar tha kya tha
Parveen Umm-e-Mushtaq
hoti na shariat mein parastish kabhi mamnua
gar pahle bhi but-KHanon mein hote sanam aise
Parveen Umm-e-Mushtaq
ek adna sa parda hai ek adna sa tafawut
maKHluq mein mabud mein bande mein KHuda mein
Parveen Umm-e-Mushtaq
jaan ghul chuki hai gham mein ek tan hai wo bhi mohmal
mani nahin hain bilkul mujh mein agar bayan hun
Parveen Umm-e-Mushtaq