uton ki gali chhoD kar kaun jae
yahin se hai kaba ko sajda hamara
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
chala duKHtar-e-raz ko le kar jo saqi
farishta hue sath ghar dekhne ko
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
dozaKH o jannat hain ab meri nazar ke samne
ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
jab mile do dil muKHil phir kaun hai
baiTh jao KHud haya uTh jaegi
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
jab na jite-ji mere kaam aaegi
kya ye duniya aaqibat baKHshwaegi
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
jo din ko niklo to KHurshid gird-e-sar ghume
chalo jo shab ko to qadmon pe mahtab gire
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
junun ki chaak-zani ne asar kiya wan bhi
jo KHat mein haal likha tha wo KHat ka haal hua
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
kucha-e-jaanan ki milti thi na rah
band kin aankhen to rasta khul gaya
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
kya lutf jo ghair parda khole
jadu wo jo sar pe chaDh ke bole
Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi