aangan aangan KHun ke chhinTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar ka zikr karun mein kis kis ke sadmat likhun
Obaidur Rahman
apni hi zat ke mahbas mein samane se uTha
dard ehsas ka sine mein dabane se uTha
Obaidur Rahman
achchon ko hum na ek khilauna bhi de sake
gham aur baDh gaya hai jo tyauhaar aae hain
Obaidur Rahman
dikhao surat-e-taza bayan se pahle
kahani aur hai kuchh dastan se pahle
Obaidur Rahman
ghaTti baDhti rahi parchhain meri KHud mujh se
lakh chaha ki mere qad ke barabar utre
Obaidur Rahman
hamein hijrat samajh mein itni aai
parinda aab-o-dana chahta hai
Obaidur Rahman
hamein to KHwab ka ek shahr aankhon mein basana tha
aur is ke baad mar jaane ka sapna dekh lena tha
Obaidur Rahman
jab dhup sar pe thi to akela tha mein 'obaid'
ab chhanw aa gai hai to sab yar aae hain
Obaidur Rahman
jahan pahunchne ki KHwahish mein umr bit gai
wahin pahunch ke hayat ek KHayal-e-KHam hui
Obaidur Rahman