aqi abhi hai tark-e-tamanna ki aarzu
kyun-kar kahun ki koi tamanna nahin mujhe
Muzaffar Ali Aseer
kabe chalta hun par itna to bata
mai-kada koi hai zahid rah mein
Muzaffar Ali Aseer
maghfirat ki nazar aati hai bas itni surat
hum gunahon se pasheman raha karte hain
Muzaffar Ali Aseer
nazzara-e-qatil ne kiya mahw ye hum ko
gardan pe chamakti hui shamshir na sujhi
Muzaffar Ali Aseer
aunaq gulshan jo wo rind-e-sharabi ho gaya
phul saghar ban gaya ghuncha gulabi ho gaya
Muzaffar Ali Aseer
wah kya is gul-badan ka shoKH hai rang-e-badan
jama-e-abi agar pahna gulabi ho gaya
Muzaffar Ali Aseer