aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
marne ke baad bhi yahi aazar sath hai
Meer Asar
ab teri dad na fariyaad kiya karta hun
raat din chupke paDa yaad kiya karta hun
Meer Asar
apne nazdik dard-e-dil main kaha
tere nazdik qissa-KHwani ki
Meer Asar
ewafa kuchh nahin teri taqsir
mujh ko meri wafa hi ras nahin
Meer Asar
dard-e-dil chhoD jaiye so kahan
apni bahar to yahan guzar hi nahin
Meer Asar
jannat hai us baghair jahannam se bhi zubun
dozaKH bahisht haigi agar yar sath hai
Meer Asar
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDta hai pyar aankhon mein
Meer Asar
kaam tujh se abhi to saqi hai
ki zara hum ko hosh baqi hai
Meer Asar
kin ne kaha aur se na mil tu
par hum se bhi kabhu mila ka
Meer Asar