samne man ke jo hota hun to allah allah
mujh ko mahsus ye hota hai ki bachcha hun abhi
Mahfuzur Rahman Adil
tumhaare baKHshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaq mein tare saja raha hun main
Mahfuzur Rahman Adil
teri aql gum tujhe kar na de rah-e-zindagi mein sambhal ke chal
tu guman ki had na talash kar ki kahin bhi hadd-e-guman nahin
Mahfuzur Rahman Adil
shabnami qatre gul-e-lala pe the raqs-kunan
barf ke TukDe bhi dekhe gae angaron mein
Mahfuzur Rahman Adil
shaKH se gir kar hawa ke sath sath
kis taraf ye zard patta jaega
Mahfuzur Rahman Adil
parat parat tera chehra saja raha hun main
ye ittifaq ki hain ghar mein aaine TuTe
Mahfuzur Rahman Adil
mujh ko shauq-e-justuju-e-kaenat
KHak se 'adil' KHala tak le gaya
Mahfuzur Rahman Adil
tumhaari mast aankhon ka tasawwur
meri tauba se Takrane laga hai
Mahfuzur Rahman Adil
qaidi bana ke rakkha hai us ne tamam umr
mujh ko hisar-e-jaan se nikalne nahin diya
Mahfuzur Rahman Adil

