aaftab-e-garm se dast-o-gareban ho gae
dhup ki shiddat se sae jab pareshan ho gae
Mahfuzur Rahman Adil
hamesha dhup ki chadar pe takiya kaun karta hai
khuli chhat hai to phir barsat ka bhi samna hoga
Mahfuzur Rahman Adil
hawa ke rahm-o-karam par hun be-Thikana hun
shajar se TuTa hua ek zard patta hun
Mahfuzur Rahman Adil
jannaten to peshwaon ne hi mil kar banT lin
hum ko uljhaya gaya hai dozaKHon ke darmiyan
Mahfuzur Rahman Adil
jo teri zulf ke sae mein chand din guzre
wo gham ki dhup mein yaad aae saeban ki tarah
Mahfuzur Rahman Adil
KHud mere aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-arzu mein mah-o-aKHtar kuchh nahin
Mahfuzur Rahman Adil
kyun zamana hi badalta hai tujhe
tu zamane ko badalta kyun nahin
Mahfuzur Rahman Adil
mat baiTh aashiyan mein paron ko sameT kar
kar hausla kushada faza mein uDan ka
Mahfuzur Rahman Adil
mera zahir dekhne wale mera baatin bhi dekh
ghar ke bahar hai ujala ghar ke andar kuchh nahin
Mahfuzur Rahman Adil