marja-e-gabr-o-musalman hai wo but nam-e-KHuda
bhejte hain use hindu o musalman kaghaz
Maatam Fazl Mohammad
jahan se hun yahan aaya wahan jaunga aaKHir ko
mera ye haal hai yaro na mustaqbil na mazi hun
Maatam Fazl Mohammad
KHat dekh kar mera mere qasid se yun kaha
kya gul nahin hua wo charagh-e-sahar hanuz
Maatam Fazl Mohammad
koi aazad ho to ho yaro
hum to hain ishq ke asiron mein
Maatam Fazl Mohammad
kya kahun din ko kis qadar roya
raat dilbar ko dekh kar roya main
Maatam Fazl Mohammad
la-walad kahte hain hum ko la-walad
sher se az-bas ki auladi hain hum
Maatam Fazl Mohammad
uKHsar ka de shart nahin bosa-e-lab se
jo ji mein tere aae so de yar magar de
Maatam Fazl Mohammad
umr do-chaar rose mehman hai
KHidmat-e-mehman karun na karun
Maatam Fazl Mohammad
tuKHm-e-raihan khila tabib mujhe
yani hun main mariz-e-hazrat-e-KHal
Maatam Fazl Mohammad

