hindu bacha ne chhin ke dil mujh se yun kaha
hindostan bhi kishwar-e-turkan se kam nahin
Maatam Fazl Mohammad
aaj kal jo kasrat-e-shoridgan-e-ishq hai
roz hote jate hain haddad naukar saikDon
Maatam Fazl Mohammad
deta hai roz roz dilase nae nae
kis tarah e'tibar ho 'hafiz' ke fal pa
Maatam Fazl Mohammad
dekh kar hath mein tasbih gale mein zunnar
mujh se bezar hue kafir o din-dar juda
Maatam Fazl Mohammad
dariya mein wo dhoya tha kabhi dast-e-hinai
hasrat se wahin panja-e-marjaan mein lagi aag
Maatam Fazl Mohammad
chhuTta hai ek to phanste hain aa kar is mein do
aaj-kal hai garm-tar kya KHub bazar-e-qafas
Maatam Fazl Mohammad
apne bhi ishq ko zawal na ho
na tumhaare jamal ko hai kamal
Maatam Fazl Mohammad
agar samjho namaz-e-zahid-e-maghrur yaro
hazaron bar behtar-tar hamari be-namazi hai
Maatam Fazl Mohammad
aatish ka sher paDhta hun aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai wo bahr-e-suKHan ke nahang ka
Maatam Fazl Mohammad